21st Oct 2011
Ab Tum Mujhe Yaad Na Karna ~*~
chalne ka samay ho gaya hai
ab tum mujhe yaad na karna
ruk nahi paunga tumhare rokne per
apna samay barbaad na karna
bahut kam samay bacha hai ab mere paas
tum khud mei reh ker khud ko aabad karna
chala jaunga us dagar per ek din
per tum kabhi mera intezar na karna
is jahan se us jahan tak meri doori bahut kam hai
mere lautne ka fariyaad na karna
chalne ka samay ho gaya hai
ab tum Mujhko yaad na karna !
wid love n care ....
Kya sach kya dokha hai !!!
Hume bus bus usne roka hai !!!!
Na Jane Ye ......Kisse kaha !!!! Bt aaj bhi mujhe kehta hai jst wait for me....!!!!